Monday, November 5, 2018

Sheikh Afghan ko jin se bachanay ki karamat

Sheikh Afghan ko Jin Se Bachanay Ki Karamat
doodh nana sandal badshah qadri someshwara temple laxmeshwar karnataka laxmeshwar population doodh nana dargah nearest railway station laxmeshwar taluk villages list laxmeshwar videos laxmeshwar to gadag lakkundi temples photos doodh nana sandal badshah qadri someshwara temple laxmeshwar karnataka laxmeshwar population doodh nana dargah nearest railway station

'' koi museebat nahi pahunchti magar Allah ke hukum se aur jo Allah par imaan laaye Allah unkay dil ko hadaayat Ata Farmayega.aur Allah sab kuch jaanta hai.' ' 
( Parah number ۲۸ surah  Tagabun aayat number ۱۱ )

Lafz wali Allah ke manay Allah ke dost ke hotay hain. jis terhan dunewi zindagi mein har aik ko apna dost mehboob hota hai.
 woh dost ki dosti nibhanay ke khatir uski har baat ko maanta hai, aur usay khush karna chahta hai,
 usay naraaz honay nahi deta isi terhan Allah bhi apne walyoon ko har waqt khush rakhna pasand karta hai .

Allah ke wali duniya ki zindagi ki taraf mutwajjah nahi hotay na hi inhen duniya ki dhun doulat sona chandi khush rakhti hai. balkay woh apni khushii zikar Illahi mein talaash karte rehtay hain.

bay shak Allah ki yaad hi se dilon ko chain hai ( surah al-raad aayat number ۲۸ )
 ke mutabiq woh har waqt zikar Ellahi mein mashgool rehtay hain.
Allah taala quran ki surah Younus ( aayat number ۶۲ ) mein Allah ke wali ke mutaliq yun farmata hai.'
sun lau bay shak Allah ke walyoon par na hi kuch khauf hai na hi kuch gham. yeh aayat is baat ka saboot day rahi hai ke Allah ka wali dar aur gham se daur rehta hai.
 jab yeh dono cheeze agar ensaan ke dil mein na hon to woh pur sukoon zindagi Guzarta Huwa nazar aata hai,
 gham aur dar do aisi cheeze hain jin ki wajah se ensaan mayoos aur majaboor ho jata hai.
 jab yeh cheeze dil se nikal jaye to ensaan ki zindagi par lutaf be khoo f aur be fikar ( tension free ) ho jati hai .

shohrat se nafrat : .

Allah ke wali ki parhaiz gari pakeeza zindagi guzarnay ke baais woh logon mein bohat jald jan_e_ jatay hain.
 kuch hi dinon mein inka charchaa honay lagta hai.

 magar woh khud is charchaa ko pasand nahi karte.
 yahi wajah hai ke chand auliaye karaam apni ibadat kisi jungle ya sun_saan jagah. pahari ya Gofaa mein karte hain.
 chand Auliya karaam to jis jagah apna charchaa ziyada hota hai us jagah ko chore kar kisi aur jagah jana pasand karte hain .

dunyawi zindagi se doori : .
Auliya Ikram ko aam tor par dunewi zindagi se dilchaspi nahi rehti woh har waqt har lamha yaade ILAHImein mashgool rehtay hain. gharelo zindagi kahin unki ibadat mein khlal na daaley isi wajah se woh –apne ghar baar ko chore kar yaade llahi mein nikal jatay hain.
 unkay nazdeek duniya kuch qeemat nahi rakhti duniya ke aish o Ishrat ko tark karkay apne nafs ko maartay hain.
 Allah ke  bande ka zikar hai ke woh a pannay ghar se sirf jamaat se namaz parhnay ke liye masjid ko aur kisi ki namaz e janaza mein shirkat karne ke liye hi bahar nikla karte they. (

mureedon se mohabbat :


Allah ke walyoon ke kirdaar dekh kar kuch log unkay qareeb atay hain, aur un se dil laga kar itna qareeb ho jatay hain ke woh har maamla mein unki raye ke baghair kuch nahi karte woh –apne wali ko murshid mantey hain. Rohani maidan mein unko ustaad mantey hain.
 murshid bhi apne mureedon ko apne bachon ki terhan samajh kar har maidan mean unki rahnumai karte hain .

 Ze wali kaamil hazrat syed Sulaiman badshah qadri ke bhi chand mureed they. jin mein aik Sheikh Afghan bhi they. woh 
 Lakshmshwar ke Seddiq mohalla mein rehtay they. doodh nana ke barray aashiq they. aik din Tijarat ke gharz se Sheikh Afghan Lakshmeshwar se 12 kilometer door aik gaon Gudkeri ko gay. is din amavas thi. –apne poooray kaam khatam karkay wapas paidal chaltay hue Lakshmeshwar ke taraf rawana huwe chaltay chaltay rastay mein raat hogayi .


yeh akailey the sath mein koi nahi tha. chaltay chaltay thak gaye. aur ek darakht ke neechay baith gay. thakaan ke sabab neend aagayi woh jaag kar thori der ke liye darakht ko take laga kar baithy. pani pi rahay they. jis darakht ke neechay yeh baithy they woh darakht bohat pranh tha. is darakht par aik shareer jin rehta tha. woh neechay utar kar jana chahta tha. magar jab is ne Sheikh ko rastay mein betha dekha to woh Sheikh ke samnay aagaya. is jinki bhiyanuk shakal dekh kar thar tharane lagey. kuch hi der mein shareer jin Sheikh ko neechay gira kar un ke seenah par sawaar hogaya. Sheikh ko aisa laga ke woh jin inhen chorega nahi. is se bachna mushkil hai koi saathi madadgaar bhi nahi is mushkil waqt mein Sheikh ne apni ankhen band karkay –apne chahanay walay peer murshid hazrat doodh nana ko –apne dil mein yaad kiya.


to Hazrat  madad ke liye foran haazir hogaye jaisay hi jin ne hazrat doodh nana ko dekha to ghabra gyaavr kanpate hue chikhte chillate wahan se bhaag nikla .

gayab hogaya.
 is terhan Sheikh ko aik wali ki mohabbat ne shareer jin ke shikanjay se chhutkara dilaya .

Sheikh Afghan ne dosray din subah hotay hi doodh nana ke hujray mein aeye  aur logoun ke majmoa mein tafseel se sara qissa sunaya
 aur doodh nana ke ahsaane azeem ka shukriya ada kiya aur Umar bhar unki khidmat karte rahay .


doodh nana ke bohat se karamaat aaj unkay parda karne ke baad bhi jari hain

ke unkay darbaar mein kayi jin, pari, asaib zada log haazir hotay hain unko saza di jati hai aur aakhir mein woh maffi talabb karkay chalay jatay hain. 
unkay darbaar ki isi zindah karamat ki wajah se log yahan har amavas ko atay hain. 
aur har amavas ko Urs ki terhan bheer jama rehti hai .

aur aisa lagta hai ke nana ke darbaar mein har amavas ko Uras manaya ja raha hai .


Allah taala se dua hai ke is wali kaamil ke darjaat ko aur buland kere aur hamari yeh qalmi khidmat ko qubool farmaiye. ameeen .

1 comment:

  1. Casinos near me - JtmHub
    Find out about the casinos near you 서귀포 출장샵 and the 경상북도 출장마사지 places you 보령 출장안마 are visiting. Visit our 파주 출장마사지 Casinos near you in a flash and see the best places to 밀양 출장샵 stay in the United States now

    ReplyDelete

Urdu

Popular Posts

Popular Posts