Friday, November 9, 2018

wafaat ke baad mulaqaat wafaat doodh nana

wafaat ke baad mulaqaat wafaat doodh nana




ahal sunnat o jamaat ka aqeedah hai ke aulia Allah duniya se chalay jaaney ke baad bhi –apne aqeedat mandoon ko nawaazte hain aur unkaa Faizan hamesha jari rehta hai .

kon kehta hai ke momin mar gaya
qaid se chhota woh –apne ghar gaya .

shehar  Lakshmeshwar ke walii kaamil hazrat sayed Sulaiman badshah qadari rehmatullahalaihi ( urf doodh piran ) wafaat ke baad mulaqaat ki yeh karamat mashhoor hai.
 Haveri taalluqa ke Hundgnoor( Devasalli) gouwn mein pehlay se hi desai gharane ki taraqqi hoti aayi.
desai aabadi logon mein Basavant Ray Nami desai is gouwn ke raja thay.
 un ke ghar mein balow balow Nami ghor sawaar tha. woh desai ke kaam kaaj ke liye hamesha Lakshmeshwar aaya karta tha.
 Lakshmeshwar mein honay walay doodh piran ki karamaat ka zikar –apne maalik Basavant Ray desai ko sunaya karta tha.
 apne khadim Ghora sawar aur deegar buzurgon ki zabani karamaat sun kar Desai ke dil mein doodh nana se milnay ka khayaal peda huwa.
Bawant Ray  desai apne ahal o Ayaal sameit barri khaksari se ba adab doodh piran ki khidmat mein haazir huwa.
 Aur Adab se baith gaya. jab doodh Peeran ki mohabbat bhari nazar uss desai par pari to sukoon paker musarrat se phoolay nah samaya.
is khushi mein doodh piran se kehnay laga.

 baraye karam hazrat aap hamaray gouwn tak tashreef laane ki zahmat gawara farmaen.
 doodh peeran maan gay .

Basvant Rao desai musarrat ke sath hazrat doodh peeran ko apnay gouwn ko bula le gaya.
 sab ahal wa Ayal nay hazrat doodh peeran ka pur joshi se istaqbaal kya.
 doodh nana sukoonat ikhtiyar kiye hazrat doodh peeran  se Baswant Rao  desai kehnay laga hum sab ghar walay
 Balaun aur museebat Mein Phanse Huwe hain.
 kuch nah kuch takleef rozana hoti rehti hai.
 lehaza hum sab ke liye duayen kher karen.
 Mazeed dekhne laga ke zindagi bhar apka khadim ban kar khidmat mein haazir hota Rahon ga.
hazrat doodh Peeran (Devasahalli) Hundgnoor se wapsi par desai khandan ke haq mein duaye kher farmai ke desai Basvant Ray ka khandan taraqqi par gamzan rahay .
hazrat doodh Peeran ko barri hi shaan ke sath rukhsat karaaya.
 isi waqt un ke hamrah Lakshmeshwar aakar assaar mehal imaarat ki taamer karai.
 is arsa mein Basvant Ray desai ka larka Dharward shehar mein husoole taleem ke liye muqeem tha.
 uss kaamthan qareeb tha woh fikar mand tha keh shayad mein imthehaan mein kamyaab nahi honga.
 meri be izzat hojaye gi uss ko Pura yaqeen ho gaya ke kamyaab hona na mumkin hai.
 aisay naazuk waqt mein is ko khayaal huwa aur woh dil se hazrat ko yaad kiya to foran  doodh Peeran Hazir huwe
 aur Dharwad me Imtehan dainay walay larke se kaha tum ghabraana nahi zaroor imthehaan mein kamyaab ho jayoge.
 yeh sun kar larke ke jaan mein jaan aa yi woh khushi se imthehaan diya.
 unn ki himmat afzai se imthehaan mein kamyaab hogaya.
 jab Dharwar mein desai ke larke ki himmat afzai ki aur kamyabi ke liye dua ki thi
is se pehlay hi hazrat doodh Peeran Lakshmeshwar mein intqaal kar chukay thay.
 yani unki wafaat hogayi thi.
yeh un ki bohat barri karamat hai ke wafaat ke baad –apne khadim se mulaqaat kiye.
 un ke guzarnay se Baswant Rao bara dukhi tha.
aik do din mein jab desai ka larka dharwad se –apne gouwn aakar –apne baap se kehnay laga ke mein imthehaan se fikar mand tha.
 aur mujhe dar tha ke mein imthehaan mein kamyaab nahi honga.
 to mein nay hazrat doodh peeran yaad kiya tha, unhon nay Khud dharwad tashreef laa kar farmaya ke to ghhabraana nahi himmat se imthehaan dena to zaroor imthehaan mein kamyaab hoga.
 jab is baat ko Baswant Raw desai nay –apne betay ki zabani Suna tu heran hogaya aur kehnay laga ke jumaraat ke din wafaat paa kar jumaraat hi ke din tum se Dharwad mein mulaqaat kaisay kiye?
 un ki is karamat se mutasir hokar woh zindagi bhar inhen yaad karta raha.
is ke baad Baswant rao desai –apne ahal wa ayal ke sath doodh nana ke darbar mien haazari Deta raha.

Visit This Site

No comments:

Post a Comment

Urdu

Popular Posts

Popular Posts