Monday, November 5, 2018

Saasalwar ke jungle mein chilla baithna

Saasalwar ke jungle mein chilla baithna
doodh nana sandal badshah qadri someshwara temple laxmeshwar karnataka laxmeshwar population doodh nana dargah nearest railway station laxmeshwar taluk villages list laxmeshwar videos laxmeshwar to gadag lakkundi temples photos doodh nana sandal badshah qadri someshwara temple laxmeshwar karnataka laxmeshwar population doodh nana dargah nearest railway station

Saasalwar ke jungle mein chilla baithna Wallah jo saray looh tera naam nahi hota har gaz kisi aaghaz ka injaam nahi hota 40 din tak Saasalwar gouwn ke qareeb thung bhdra (Tungabhadra River) nadi ke kinare bhayanak jungle mein ibadat mein guzaray . yeh bhi Ek karamat se kam nahi hazraat pehlay aap buzurgon ke khawab ke mutaliq jaan lijiye. Allah walon ke khawab ke mutaliq hazrat junaid Bughdadi rehmatullah alaih farmatay hain sufi chasham zahir se jo daikhta hai uss me Galti ka to imkaan hai. magar jo khawab mein nazar aata uss mein ghalti nahi hoti' '. yahi wajah hai ke baaz mashaiykh ' ' qasdan isi gharz se sotay hain ke unn ko jo baat maloom karni hai. khawab mein maloom hojaye, ho sakta hai yeh log isi sabab se khawab ko baydaari par tarjeeh dete hunge. jaisay ashaab kahaf ka qissa woh teen so
( 300 ) saal tak sotay rahay . ab zara dood nana dargah hazrat syed suleman basha qadri al baghdadi lakshmeshwar, karnataka ke khawab ke barey mein snye. aap Ek roz apne mureedon ke sath baithy hue they, har mureed unn ki Har Baat ko pathar ki lakeer samajh kar sun raha tha. baton baat mein apne khawab ko yun bayan farmaya ke' ' aye mere chahanay walo mein nay khawab dikhahe ke main kisi ghany jungle mein khuda ki yaad mein bethnay ke liye ja raha hon, aur mein chahta hon ke foran wahan Chala jaon aur khawab ki tabeer poori karoon, mujhe khawab mein uss jagah aur jungle ki nishanain bhi bataai gayi hain' ' . itna bataa kar woh apne' ' jugna' ' Nami ghoray ko leker chalne ke liye foran tayyar ho gaye. aur mureedon se kaha ke is khawab ke zareya allah taala shayad meri azmaish karna chahta hai. aur mujhe uss ke imthehaan mein kamyaab hona hai. lehaza mujhe foran wahan jana hoga yeh keh kar woh ghoray ko eidh lgarhe they ke mureedoun nay kaha, huzoor wala, hum bhi aap ke hamrah aap ko uss jagah tak chorney ke liye atay hain. mureedon ka yeh josh aur walwalah dekh kar aap nay farmaya
ke ' ' aye mere sathiyon, mein uss jagah tak jitna jald taiz raftari se ja sakta hon uss taiz raftari se aap nahi jasakte. mujhe jaldi se jaldi uss jagah pohanchna zurori hai. yeh keh kar mureedon ko tasalli di aur ghoray ko eidh lagaa di . woh jungle jis ki nishaandahi khawab mein ki gayi thi woh thi Shirahttai taalluqa ke'hebbal' qarya ke qareeb SAASALWAD GAOUN. yahan tang Bhadraa Nadi barri shandaar dikhayi deti hai. Saasalward ke jungle mein nadi ke bichon beech do teen jazeere hain unn mein aik jazeera Baraa bhayanak
aur khatarnaak jhaadiyoun aur moozi janwaron se bhara huwa tha. dood nana dargah hazrat syed suleman basha qadri al baghdadi lakshmeshwar, karnataka rahamatullah alaih naay usi khatarnaak jazeere ko khawab mein dekha tha. aur wahein janay lagey to aas paas ke log jo pehlay ikhattha ho gaye they unn ko wahan janay ke baad kya hoga. kitni bhayanak jagah hai. kitney zahreeley janwar wahan rehtay hain. kaisa ghana jungle hai kaisi kaisi pareshaaniya aur museebatein uss jagah paish ayen gi sab bataakar wahan janay se rokna chaha. aur yahan taq keh diya ke wahan jo bhi gaya hai zindah bach kar kabhi kabhi wapas nahi lota lehaza aap baraye meharbani uss jagah mat jaiye.
ruk jaiye wahan zeher ‫le saanp bichhoo,
magar mach aur jaan lewa darendey basera karte hain. aap hamari baat maan lijiye aur mat jaiye. magar yeh allah ke mahboob bande kab maan-ne walay . dood nana dargah hazrat syed suleman basha qadri al baghdadi lakshmeshwar, karnataka apne chahanay walon se mukhatib hotay hain aur kehte hain ke ae mere chahne walo mein yahan anay se pehlay hi apni saari armaanen, apni khuwaishe, jaan ka khauf. apna jeena aur marna sab kuch uss khudaye be niyaz ke hawalay krchka hon jo saari kaayenaat ka palanhaar hai . aur Yaad Rakho' ' agar tum اﷲ ke Dur se kuch Faiz Paana Chaho to woh mout ki chokhat ( dehleez ) mein hai. lehaza mein wapas nah joun ga. mujhe janay se mat roko' '. aur phir aap naay farmaya ke' ' mein is jagah par 40 din taq rahon ga. uss ke baad wapas zaroor Aaonga. 40 din ke baad tum yahan aana mere paas aik hara kapra ( jhanda ) hai . 40 roz ke baad mein woh kapra umchee jagah par Lehraonga. woh dekho to samajh jana ke mein zindah hon' '. itna keh aap foran uss khatarnaak jazeera mein chalay gaye. jo mout ke kunwein se kam nahi tha. wahan pahunch kar aap duniya se be niaz hokar
kkhuda ki Yaad,Riyazat, Ibadat aur wazifay mein lag gaye. allah waloun ki shaan hi nirali hai. jazeera ke atraaf pani ke moajoon ke shore, Charindoun parindon aur dil dhula dainay walay Drindoun garaj ( pukaar ) zahreeley saanpon Bichchoun aur magar mchhon ka khauf un sab ki parwah kiye baghair aap khalis yaad khuda mein mashgool ho gaye . is dauraa aik zahreela saanp har roz aap ke paas aakar –apne makhsoos andazmin aap ko Salam karta aur aap ki peeth ke peechay aakar apni phn phela kar aap par Sayaa karta rehta is khayaal se ke kahin koi dosra moozi janwar aap ko Sataa Na sakay Goyaa wo aap ki har roz hifazat mein lag gaya . hazrat ki riyazat ibadat aur wazaif ki harkat se uss jungle ke har janwar ko mehsoos ho gaya ke yahan koi اﷲ ka naik bandah aaya sun-hwa hai. hum sab ko unn ki hifazat karna zurori hai. lehaza aik bohat bara magar mach aaya aur –apne andaaz mein aap ko salam kya unn ke peeron ke paas is khayaal se 40 din taq baithta raha ke agar koi dosra moozi janwar un ko zarrar pohanchanay aaye to uss ko maroo ga aur un ki hifazat karoon ga. har haal uss khatarnaak jungle ka pata pata butta butta. har aik Darinde, Charind, Parinde 40 din taq un ki hifazat mein lag gaye . 40 din poooray honay ko they ke SaasalWad aur uss ke aas paas ke tamam log jama hogaye. aur daur se hi uss haray kapray ko talaash karne lagey. aُtne mein aap naay uss jhanday ko aik onche jagah Lehra Diya. logon naay haray kapray ko dekha to khush hue. kyunkay woh jantay they ke yeh pehli shakhsiyat hai jo is khatarnaak jungle se zindah bach kar nikal aayi hai. woh jaan gaye ke aap? allah ke pyare bande aur Hamare ray pairo murshid hain. yeh soch kar tamam unn ke qareeb aakar unn se Duayen letay . jab aap Lakshmeshwar ki janib apna safar shuru kya to tamam log bohat daur taq unn ka isteqbaal karte hue sath aaye. aur lout gaye. jaisay hi doodh nana Lakshmeshwar ke gate mein puhanche to logon ka hajhoom Doud Para aur aُnko unn ke maqam taq barri izzat aur ehtram se un ki dosti ka dam bhartay hue. le aaye .

No comments:

Post a Comment

Urdu

Popular Posts

Popular Posts