Thursday, November 8, 2018

Juzaam ki bemari daur karanay ki karamat


Juzaam ki bemari daur karanay ki karamat


 Jismani amraaz bhi kkhuda ki rehmat aur Rohani amraaz ka ilaaj hain ke jismani takaleef se Allah ki yaad aati hai jab takleef shiddat se be chain ho kar koi bandah ya allah kehta hai ko is ke gunah mittay hain musalman jismani takleef par sabar karne se gunaaho se is terhan saaf hota hai jis terha sonay ko Bhatti mein tapaa kar Mukammal saaf kiya jata hai ( bukhari muslim )
 bemari aur takleef par Sabar ye nahi ke ilaaj nahi kere balkay  Sabar ye hai ke aah wa Fughan aur Khuda ki nashukri se bachay .

walii kaamil hazrat syed Sulaiman badshah qadri. doodh nana ka naam aatay hi log Lakhshmeshwar gaon ko yaad karte hain.
 is gaon mein phaily bemariyan aur balayien door karte hue doodh nana is gaon mein they aur bachon ko arabi parhatay hue din guzaar rahay they.
 yahan ke log doodh nana ka Ilmi miyaar pehchan gay they.
 unkay chehray ko dekhte hi logon ko Allah yad aata tha.
 Allah ka walii woh hai jis ka chalna phirna khana peenaa gharz ke zindagi ka har mamool Shariat Mutah-hera ke mutabiq hota hai.
 wali Allah woh hain jo maraziye Ellahi ke liye dosti rakhtay hain.
 Aulia har zamane mein hotay hain aur qayamat tak hotay rahingain.
 walii Allah aur naik bundon ki dua se balayen tal jati hain.
 un ki dua dafaa balaa hoti hai .
ek din ka zikar hai ke hazrat syed Sulaiman badshah qadri doodh nana apne shagrdon ke sath lakshmeshwar  ke bazaar se guzar rahe they rastay mein ek aurat (Lamani ) Juzam ki bemari mein mubtala karahte huwe pari thi.
 uskay haath pair phool gay they ungelian jhar chuke they.
 uska karaahna sun kar log jazami aurat hai kehte hue door chalay jatay they.
 isi rastay se doodh nana ka guzar Huwa to kahrahte huwe is aurat ko dekha uskay qareeb gay uska haal dekh kar  apne shagirdon se kaha is aurat ko bohat takleef hai is ko  Uthao aur hamaray hujray me le chalo ye  kehte hue nana khud apne haath se usko uthae aur sath le chalay.
 apne hujray mein uski dekh bhaal karte rahay






usko khilate pilate Shifa ke liye dua dete.
chand hi din guzray they ke is lamani aurat ki Jazam ki bemari door honay lagi.
haath paon ke zakham sookh gay jism mein taaqat aagai khud uthnay bethnay ke qabil hogayi aur chalne phirnay lagi.
 uski bemari door hogayi Jazam ki bemari se woh nijaat paa gayi.
doodh nana Us ko  bulawa kar kaha -------' ' tumhari tabiyat theek ho gayi hai. 
phir yeh marz tum ko hargiz nahi aeyega tum be fikar raho aur jahan jee chahay tum ja sakti ho' ' 
is baat ko sun kar Lamaani aurat ney kaha nana jaan Aap ney meri bemari door kar di. 
mujhe zindagi bakhsh di. aap ko chor kar mein kahin nahi Jaongi.
 apke qadmon mein appki khidmat karte huwe yahin rahoongee kehte hwue woh qadmon mein gir kar ansoo bahanay lagi. 
Nana ne us ko uthaya aur tasalii di.
 uskay kehnay ke mutabiq usko islam qubool kra kar uska naam morad bi rakha phir usko –apne silsilay mein daakhil karliya.
 Murad bi khushi khushi nana jaan ki khidmat karte huwe aakhri dam tak inhen ke paas rahi .









isi douran bohat se log nana jaan ke mureed banay jin mein bi sa bi. Bi bi ameena, Hajju Maa aur, morad bi waghera deegar log mureed banay.
 nana jaan ka charcha din badan ziyada honay laga.
 peeri mureedi ka inka shajrah mubarak haath se likha Huwa kata pita aaj bhi mojood hai. 
doodh nana kisi ko apni khlaft nahi diye magar kaginalla ke Mohammad Hanif peer ko palaak beta bana liye they.
 aaj bhi doctor ke ilaaj se mayoos hokar beshumar bemaar log doodh nana ke darbaar mein atay hain apni bemari ka haal sunaate hain unkay kunwein ka pani se neha kar leemo pani pi kar Shifa paatey hain.
 isi liye doodh nana ka naam' ' Shifa Nawaz ' ' se mashhoor ho raha hai .

No comments:

Post a Comment

Urdu

Popular Posts

Popular Posts