Tuesday, November 6, 2018

aak ka doodh peenay ki karamat


 aak ka doodh peenay ki karamat



'' aak' ' aik darakht ka naam hai. jisay' ' madaar aur akwa' ' bhi kehte hain is ka doodh zehereela hota hai.
 hazrat syed SuLaimAN badshah qadri Chishti Baghdadi  rehmat Allah  alaihi ( doodh nana ) ki yun to bohat saaray karamaat mashhoor hain unn mein se aik karamat ka yahan mukhtasir zikar kiyaa jarha hai .
hazrat se aqeedat wa mohabbat rakhnay walay logon ki koi kami nahi thi lekin kuch badbakht log aisay bhi thay jo hazrat se mohabbat ke bajaye nafrat karte thay. 
jo is jahan mein kabhi shaad wa abad nahi hosakay. aur Allah  nay inhen zaleel wa khawar kardiya .


Auliya Allah se mohabbat ba'ise Saadat hai aur Auliya Allah se adawat bad bakhti aur Saqaawat hai hazrat abbu Huraira razi lillah taala anho se rivayet hai ke rasool Allah Sallallahualaihi wasallam  nay farma ya hai
" bay shak Allah taala nay irshad farmaya jo shakhs mere walii ke sa th dushmani rakhay mein us se aalanoon jung kar taa hon. ( hawala khutbaat Ghaus wa raza ).
 jo Auliya  ka dushman hai chahe woh kitni hi namazeen  kyun na hi parheen aur rozay kiyon na rakhen Allah taa La aisay shakhs se raazi nahi ho taa. 
aur jo Auliya Allah se adawat rakhay Allah taala is par qehar wa gazabb naazil farma taa hai .

aik din ka waqea hai ke hazrat  Sayed Sulaimaan Baadsha Qadari Doodh Peeran apne mureedon ke hamrah aik darakht ke saaye mein baithy hue they. ke apkay dushmn kisi saazish ke tehat aap ke paas aeye aur unhon ne aap ko peenay ke liye aak ka doodh diya.


 aap jantay they ke is piyalay mein kya hai phir bhi aap ne us doodh ko nosh Farmaa liya. 
hazrat ko yun mehsoos huwa jaisay ke unke shikam mein aag Undheel di gayi ho. 
hazrat be qaraar wa be chain ho uthay aur hazrat ko aik qay huwi aur hazrat اﷲحسبی hasbi allah hasbi allah kehte huwe Allah ki ibadat mein mashgool huwe to allah  ne hazrat ko Shifa bakhsh di. phir inhen aaraam mehsoos Huwa. isi terhan Hazrat  ke khilaaf saazish karne walay dushmanon ka mun dono jahan mein kala hogaya. 
lekin phir bhi dushmanon ko chain nah aaya. aur hazrat ke khilaaf unkee dushmani baqi rahi. woh shab wa rooz isi fikar mein rehtay they ke kis tarah se hazrat ko pareshan kiya jaye. 
ab doosri saazish ke tehat Jaadu karna chaaha  aur aik jadugar ko jo sharaabi aur qumaari tha deen se door tha.
 do so rupiyon ka lalach day kar aik kaare shar ko sir anjaam dainay ke le tayyar karliya gaya hazrat jab darakht ke Saaye mein kursi par aaraam farma rahay they.
 tab wahi jaadugar bhais badal kar hazrat ke rubaroo pouncha aur us badbakht ne hazrat par jaaduu ka phoonk mara. 


jis ke assar se hazrat ki aankhon mein andhera chhaa gaya aur ajdugar wahan se faraar hogaya. hazrat ne jaldi se wuzu kiya  to jaaduu ka assar zael ho gaya. 
idhar Shifaa paane ke baad hazrat ne apna khadaaon ko  paon se nikaal  kar ulta rakhnaa thaa ke jaaduu gar mun ke bil zameen par gir paraa.
 aur uss ke mun se khoon jari hogaya.
 aur woh wahein par dhair ho gaya. 
hazrat ne apne mureedon se farmaya ke abhi jo shakhs yahan par aaya tha woh mera dushman tha aur farmaya ke woh jungle mein maraa para hai.
 usski kamar mein do so rupiye bandhay hue hain. 
jab Mureed daur kar wahan puhanche to woh jaaduu gar zameen par maraa paraa tha.
 aur usski kamar mein 200 rupiye bandhay hue they.
 jab Mureed rupiye leker hazrat ki khidmat mein haazir huwe to hazrat ne uss raqam par nazar bhi nahi daali. 

kiyun kay woh aik buland paya seerat ke maalik they. 
hazrat ne mureedon se farmayaa ke woh 200 Rupiye tum le jayo aur khusihyan Manaao.
 hazrat ko duniya se intehai darjay ki be raghbati thi. woh allah  ke sachey walii they hindu ho ya musalman sab ke pyare they.
 log unn par qurbaan they. 
unn se aqeedat rakhtay they usi terhan allah  hamein bhi hazrat ke Faiz o Barkaat se istifada haasil karne ki tofeq ataa farmaiye. ( ameeen )

No comments:

Post a Comment

Urdu

Popular Posts

Popular Posts