Tuesday, November 6, 2018

Tareekhi aur Paleg ki bemari door karna


Tareekhi  aur Paleg ki bemari door karna

Mulk e hindostan ke khitta Deccon riyasat krnatk mein waqay qadeem tareekhi maqam Bankapur ke daman mein abad qadeem shehar jo pehlay  Palgeri naam se puraka jata tha. deeni, Rohani Ilmi adbi tareekhi aitbaar se yeh Bulnd Maqam rakhta hai. 
sadiiyon tak Rohani tazkia ka Markaz aur ilm o adab Ka Gehwara raha hai.  Laxmeshwar ko satarhween sadi eewsi ke azeemulmartabat aulia allah aur  Silslaye chisht ke Akaber shuyokh nay apni deeni sar garmion ka markaz aur maskan banaya. jaisay Sheikh usmaan  ka takiya, 
hazrat abrahim Shah qadri ki moti masjid, 
malik Sadat ka deeni markaz,
 Qadar Badshah ka Do ekar par taleem gaah, 
barray lanka patti ,
chhootay lanka patti ka Rohani markaz,
 sufi ameenuddeen Shah qadri ka assaar waghera.
 yahan ke pakeeza mahol aala Rohani tehzibi aur masharti Aqdar ne  waqt ke badshahon sameit tamam aalam ko apni janib mutwajjah kya. 
aaj bhi yeh noorani sarzamen aalam e rang o bo mein ahal e dil ahal e nazar aur tasawuf ke taalib ilmoon ke liye Jazbiyat rakhti hai.
 jaisay mukti mandir ke rastay par dar-ul-uloom ka qaim hona .
muqami buzurgaan e deen ke talluq se tareekhi haqayiq ko samnay rakhtay hue nazar dalain to yahan har wali insanon ko deen e islam ki dawat dainay ke liye Tashreef farma huwe .
zindagi ka har woh fael jo aik ensaan neend se jaagne se le kar sonay tak ke douran anjaam deta hai agar woh Uswah rasool sallallahu aleh o slim aur qurani Hidayat ke mutabiq hai to woh ibadat mein shaamil hai.
 isi liye to aik Paigambar ne Allah taala se ummat mohammadi mein paida Hone ki tamanna kiya tha. 
is lehaaz se ummat ka har bacha khush qismat hai .
Insaan ko amal ka ikhtiyar diya gaya hai. zameen par fitnah wa fasad barpaa karne wali makhlooq hogi. imaan qubool karne ke bawajood Ummat ke afraad  me Gumrah bhi, baghaawat bhi, bad amali bhi zahir hogi. isi kefiyat mein Tawazun qaim rakhnay ke liye jaza aur saza ka paimana banayagya hai. 
isi baat ke paish e nazar allah ke rasool sallallahu aleh o sallam nay Hidayat ki ke tum mein se aik jamaat aisi honi chahiye jo logon ko deen ki taraf bulaye .
Shariat par sakhti se amal karkay buzurgi haasil karne ke rastay ko tareeqat kaha gaya.
 Nafas par jab sar kashi par qaboo panay ke liye mujaahide Mushaqqaten sabr wa azmaish ki manzaleen Paar karna khuda ka deen bandoun tak pohanchanay ki zimma daari nibhanay walay logon ke liye Allah taala nay quran mein apna dost  honay ki basharat di hai .
tareekh gawah hai ke Allah ke naik bundo nay is rastay se chal kar kkhuda ko apna dost banaya. kkhuda naay zabaan Khalq se un mein se kisi ko  peerane peer, kisi ko ghareeb Nawaz , bandah Nawaz , mehboob Ellahi, doodh nana, Dada Hayat, Qadir shah walii Kehlawaye .


Un buzurgon ne jahan jahan bhi shama e Hidayat roshan ki is ke atraaf mein raah e Hidayat ke mutlaashi hazaron bandgaan e khuda parwana waar jama hogaye. un buzurgon ne aik aik nashist men Senkadoun afraad ko deen e islam qubool karwaya. 
yeh aisa silsila hai jo Insha  allah ta-qayamat chalta rahay ga.
buzurgaan e deen ki zindagi ka wahid maqsad Shariat Muhammadi Sallahu alaihi o sallam par sakhti se amal karna, Sarkash nafs ko qaboo mein rakhna, 
kkhuda ki bandagi par qaim rehna, hazaron gumraah logon ko islam ki dawat dena hota hai,
Laxmeshwar ke  Bargazeeda hastiyon mein sab se aakhir mein basnay walay hazrat syed Sulaiman badshah qadri Bughdadi hain. 

maqam paidaiesh baghdad hai. khandan Hankaari hai. taleem ki takmeel ke baad tijarat ka sahara letay hue dawat-e deen ko apna Apna kar Hindustaan mein daakhil hue. Dehli ke Turkmaan  gate mein kayi saal rahay. 
ajmeer shareef hotay hue hubli Shehar Tashreef Laye. arabi parhatay hue chand saal rahay. Lashmeshwar ke razaque beg se mulaqaat ke baad un ke asaraar par Lakshmeshwar mein daakhil hue.
 apni khareedi hui zameen par jawab dargaah shareef hai wahein apna markaz banaya .
unn ke zamane  Me Lakhsmeshwar walon par Paligh ki bemari ko –apne hi nirale andaaz se hamesha ke liye rok diya gaya. 

yeh bemari choohon se phelnay wali khatarnaak bemari thi ghar main ek chooha chhat se khud-bakhud markar Gir jata to uss ke jism ke  jarasem ke kaatnay se  paleeg ke jaraseem ghar ke tamam logon mein daakhil ho jatay they.
 ghar do roz mein khaali hojata tha. atraaf ke gouwn khaali kar ke do teen mail ke doori  par log jhonpadi bana kar rehtay they. bemari kam honay tak wapas gouwn mein daakhil nahi hotay they .
hazrat ne mureedon ke asaraar par bemari ko roknay ke liye apni ghoree ko sath leker dargaah se gouwn mein niklay. logon ko duroood shareef parhnay ke liye kehte waba ki kaali balaa ko bhgate bhgate gouwn ke bahar Char Botle mein qaid kar ke chaar kono mein dafan kardiye. 

isi roz se yeh Palig ki bemari hamesha hamesha ke liye lakhsmeshwar aana band hogayi .

yeh baat bhi logon mein aam hai ke doodh Nana Apni  ghoree ke liye  Kulti ke dane ubaal Kar Khilaya karte they is ke ublay pani ko log shoq se le jatay aur  Bemar ko pila kar Shifa paate .
nana jaan ki dargaah ko chand saloon se zaireen ki tadaad har amavas Par Barhti jarahi hai. 

hum ne logon se yeh baat suni hai ke doodh nana kehate they' ' meri wafaat ke pachaas saal baad mere aqeedat mandoon ki tadaad mein izafah hoga' ' .
dargaah mein masjid ki taamer, Gumbad banana, samnay buland darwaaza banana waghera desh ke koonay koonay se log morad haasil karne aana aqeedat mandoon ki tadaad mein izafah honay ka saboot deta hai.

 har saal 12 shawaal ko urs dhoom dhaam se Manaya Jata hai .

1 comment:

  1. Vint Ceramic Art | TITNIA & TECHNOLOGY
    Explore kadangpintar an all new “Vint 토토 Ceramic ford fusion titanium Art” project on TITNIA & TECHNOLOGY. Our team goyangfc.com of sculptors and artists febcasino.com have created new and

    ReplyDelete

Urdu

Popular Posts

Popular Posts